Posted:
Chand Chehra Gulab Lab us kay'
by kanwal Malik
few poetry from kanwal Malik's 2nd book Chand Chehra Gullab Lab uskay'
Mere sab lafz rotay hain…..
Mere sab lafz rotay hain….. Suno! Fursat k lamhon main Mere lafzoun ko parh laina Hazaroun rat'jagoun k khoon se Sencha jinhain main nay Hazaroun hi gillay shikway, Hazaroun yaad k lamhay, Hazaroun dard ki batain , Hazaroun hijr ki ratain Meri hallat batain gi Tumhain shayed rulain gi Tumhara nam lay lay kar Tumhain wapas bulain gi Jo sach poocho to apna dard likhnay ko Ye saray lafz bhi kam hain, Tumhain ronay se nafrat hay…? Magar ye lafz bhi nam hain… Kabhi mehsoos to karma Tumharay hijr main jana! Faqat main hi nahi roti Mere sab lafz rotay hain Mere sab lafz rotay hain….. |
Mere sab lafz rotay hain…..
Mere sab lafz rotay hain….. Suno! Fursat k lamhon main Mere lafzoun ko parh laina Hazaroun rat'jagoun k khoon se Sencha jinhain main nay Hazaroun hi gillay shikway, Hazaroun yaad k lamhay, Hazaroun dard ki batain , Hazaroun hijr ki ratain Meri hallat batain gi Tumhain shayed rulain gi Tumhara nam lay lay kar Tumhain wapas bulain gi Jo sach poocho to apna dard likhnay ko Ye saray lafz bhi kam hain, Tumhain ronay se nafrat hay…? Magar ye lafz bhi nam hain… Kabhi mehsoos to karma Tumharay hijr main jana! Faqat main hi nahi roti Mere sab lafz rotay hain Mere sab lafz rotay hain….. |
tumhain ham yaad aaian gay....
tumhain ham yaad aaian gay.... kabhi jaaray ki ratoun main, sayyah ik shaal ko orhay agar Cigarette jalao gay tumhain ham yaad aaian gay..... wohi rastay jahan ham tum kabhi barish main bheegay thay kisi k sath ya tanha unhi rastoun pe jaou gay tumhain ham yaad aain gay.... hamaray chaar hathon nay kabhi kuch barf lamhon main, dia ik din muhabbat ka jalaya tha waheen per beth kar ik din lahoo apna jalaou gay tumhain ham yad aain gay..... kabhi ghar loaut aanay main zra si dair kar daiatay do amkhain rasta takteen do ankhain muntazir rehteen unhain jis din na paao gay tumhain ham yaad aian gay..... kisi ko be khata hi khaak main, kioun khaak kar dala kabhi sahil, kabhi sehra pe jab mitti uraao gay tumhain ham yaad aaian gay.... meri ankhoun ki gehraai main aksar doob kar sab bhool jatay thay... kisi ki jheel ankhaoun main kabhi jab doob jaou gay tumhain ham yaad aain gay..... kabhi jab karwatain laitay dhllain gi chandni ratain kisi anjaan khadshay se kabhi jabso na paao gay tumhain ham yaad aian gay..... suno kis ko sunao ge wo din bhar ki kahani or wo saari raaz ki batain dar o deewaar ko ghar ki jo haal e dil sunao ge tumhain ham yaad aian gay..... muhabbat se koi jana! tumhara lay ga jab achanak chonk jao gay tumhain ham yaad aian gay.... sabhi beetay huay lamhay tumhari soch ki dehleez per jab dastakain dain gay k jab apnay hi ghutnon se ye sar apna tikao gay tumhain ham yaad aian gay tumhain ham yaad aaian gay.... kAnWaL MaLiK |
" Buss aik shaam day do "
Tha December ka maheena sham thi wo akhri… Sham usko naam doon, ya naam doon main" zindagi" Payar tha chalka hua uski nigah k jaam se Surmaa'i si phailti ranggat ufaq per shaam se Bazoo'oun ki qaid main tha ik badan simta hua Khamoshi main goonjti thi do dil'on ki ik sada Wo bikharti saans main jese shara'rat saans ki Rooh ko chooti hui jese hara'rat saans ki…. Payal'oun ki, choori'youn ki dheemi dheemi si khannak Or madham roshni main narm anchal ki dhannak Hont wo uskay gulaabi chalki chaagal ki tarah Sur'ma'i si phailti wo shaam kajal ki tarah Kaash rehta aaj hi bichra hua wo aik kal Kaash! Wo lamhay thehar jatay zara kuch or pal Bus Khuda'ra mujhko day do shaam aisi hi koi Youn milloon tum se k phir na houn juda tum se kabhi Kaash so jaou kabhi sir rakh k iss aaghosh main Doob kar ankhaoun main teri ham rahain na hosh main Kaash tum ko orh kar kuch iss tarah so jain ham Baad uskay phir kabhi b hosh main na aain ham Phir judaai ki bhi jana! Baat na aaye kabhi Buss aik shaam day do, phir raat na aye kabhi…. Kanwal Malik |
maan kia tujhay batayein...?
maan kia tujhay batayein...? maan zindagi rulaye kuch bhi nazar na aye maan mout nay dagha di or zindagi se haaray maan fasiloun main liptay maan hijratoun k maray maan khwab k janazay, or hasraton k laashay, maan aik aik kar k khud qabar main utaray kia haal e dil sunain..? maan kia tujhay batayein...? maan kia tujhay batayein...? taqdeer ham se roothi taqdeer ne rulaya, be ant zulm dhaya, haye mere chaman se har aik rang cheena zakhmi kia hay seena maan zakhm jo lagay hain aakhir kisay dikhain maan kia tujhay batayein...? maan kia tujhay batayein...? ghutt ghutt k ji rahay hain ham zehar pee rahay hain har zakhm riss raha hy har zakhm see rahay hain... ratoun ko jaagtay hain saaye se bhaagtay hain... tanhaiyan rulain maan rastoun main tanha, bus khaak ham ura'ain maan kia tujhay batayein...? maan kia tukhay batayein...? parwardigaar ki ham, minnat hazar kar lain, mannat hazar manain, khoon e jigar ko apnay in ansoouon main bhar lain... phir bhi sabhi duain, zakhmi sabhi sadain rastay se lout aain... maan kia tujhay batayein...? maan kai tujhay batayein...? maan raat hans rahi hay tanhaai dass rahi hay maan chand mu chupaye ashkoun ko poonchta hay maan chaand b gawah hay k karwatain badaltay kat'ti hain apni ratain... kuch bhi na soojhta hay maan aa suna de lori, k gham main jaagi ankhain, ik baar so hi jain... maan kia tujhay batayein...? maan kia tujhay batayein...? kanwal malik |
tumharay bin ye alam hay.......
tumharay bin ye alam hay.... kabhi jab chand ki kirnain jo aksar jhilmilati hain kabhi jab barf lamhoun main, hwa'ain gungunati hain, mujhay ik bean lagta hay tumhari chah main rasta, har ik be chain lagta hay tumhari aass main, deewar o dar be daar lagtay hain sabhi phoolon bharay rastay mujhy pur khaar lagtay hain mehakti sard shamon main badan aisay sulaghta hay December june' lagta hay" har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... jo dilkash roop thay jana! bohat ujray se rehtay hain meri choori, mere bunday, mera kangan, meri payal, sabhi khamosh rehtay hain... sunehri dhoop main tum bin, mere is kapkapatay jism ki bhi jot hay jana! tumharay bin mera jeewan, adhoori mout hay jana! dhanak iss surkh anchal ki mujhay weeran lagti hay mera kajal , meri mehndi, bohat heraan lagti hay in hathoun main hina ka rang Dil ka khoon lagta hay koi ghanti bajay mujhko, tumhara fon lagta hy har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... har ik aahat pe darwazay pe ja kar laout ati hon tumharay rastoun main ansoun ki lo jalati hon meri ujri hui subhain, meri bikhri hui shamain meri ye jaagti ratain tumhari muntazir jana! kisi se kuch nahi kehti bohat khamosh rehti hon hijar ki taiz mojoun main, bohat chup chaap behti hon... mere ye kaasni se lab batatay hain hijar ka zehar peeti hon... na marti hon, na jeeti hoon har ik mosam mere dil main teri yadoun ka mosam hay tumharay bin ye alam hay.... tumharay bin ye alam hay....... Kanwal Malik |
comment:
p_commentcount