~~Tere Liye~~ (Kajen) Pt3 @ Pg7 - Page 5

Created

Last reply

Replies

48

Views

13342

Users

16

Likes

67

Frequent Posters

..Amira.. thumbnail
Posted: 13 years ago
Originally posted by: AR_LOVER

gr8 part

 



thanks gaurav ๐Ÿ˜ƒ
..Amira.. thumbnail
Posted: 13 years ago
Originally posted by: cuteangelgirl95

awesome updt amira

loved it
continue soon
thanks for pm



thanks
ok, it's ok ๐Ÿ˜ƒ
..Amira.. thumbnail
Posted: 13 years ago
Originally posted by: dazzling_armaan

Nice One .
Update soon.



thanks ๐Ÿ˜ƒ
..Amira.. thumbnail
Posted: 13 years ago
Originally posted by: Fimmy

great part...waiting 4 the next part...cont soon..



thankssssss๐Ÿ˜ƒ
..Amira.. thumbnail
Posted: 13 years ago
Originally posted by: hazraluvarjun

hey wow

nice update
its aussum



thanks
..Amira.. thumbnail
Posted: 13 years ago
Originally posted by: moonlight2630

very nice
plz update soon.. ๐Ÿ‘๐Ÿผ



thanks
..Amira.. thumbnail
Posted: 13 years ago
Part3:

it's  10pm, armaan wahin ridhima ke paas so jata hai, niche varish par bethe bethe, Ridhima bhi so rahi hoti hai uski ankh khulti hai woh armaan ko sote huwe dekh apna hath uske haat phar rakhti hai

ridhima: yeh armaan to yahin so gaya, isi bahane tumhe araam se dekh to sakhoun gi, tum mujhe apni best friend kehte ho lekin tum apni best friend ko samajh hi nahi paye

Armaan uth tha hai ridhima apna hath piche kar leti hai phir armaan kehta hai

Armaan: Sorry woh patta nahi kab ankh lagh gayee

Ridhima: armaan tum ghar chale jao jaa kar araam karlo

Armaan: nahi ridhima main kaise tume is halat mein chor kar chala jaoun aur main ghar akela nahi jaounga tumhe saat le kar jaounga

Ridhima: nahi armaan, mujhe kissi ke sahare ki zaroorat nahi hai
main akeli reh sakhti houn in 6saalon mein meine sikh liya hai aur waise bhi mera tumare ghar rehne thik nahi hai pehle baat kuch aur thi meri bestfriens nikita thi lekin kahi dad buda na maan jaye

Armaan: yeh bahane main nahi sunne wala, main bhi to tumara bestfriend houn na? to phir tum naa nahi karo gi

Ridhima think "jitna main armaan se dhur rehna chahti houn kismat utna hi mujhe uske karib le jaati hai"

Armaan: aab kiya sochne laghi agar dad ka soch rahi ho to rehne do kyon ki dad to tumhe apni bethi jaise mante hai

Ridhima: thik hai armaan tum itna force kar hi rahe ho to thik hai lekin ek shart par

Armaan: kaisi shart?

Ridhima: mere thik hote hi main wahan se chali jaoungi, mujhe rokhna mat

Armaan: ok main promise karta houn, main tumhe 2 mahine baad jane dounga

Ridhima: do mahine nahi do din!!

Armaan: doctor ne bola hai tumhe 2 mahine tak araam karna hai aab zyada bolo gi to main naraz ho jaounga

Ridhima: armaan tum waise ke waise hi ho, ok jaisa tum bolo ge main waise hi karoungi lekin 2 mahine se zyada mat rokhna

Armaan: waise tumhe ho kiya gaya hai pehle tum mere ghar ane ke liye bahane dhundti thi aur aab baghne ke liye?

Ridhima: pehle aur aab mein bohot faraak hai tum aab ek bachchi ke baap ho

Armaan: to kiya huwa todhi na main budda hogaya houn bilcool waise hi handsome houn

Ridhima: tum mera matlab nahi samajh rahe

Armaan: bohot hogaya hai aab chup chap yahi betho main doctor se puch ke aya ke tumhe kab ghar le jaa sakhte hai

Armaan doctor se puchta hai to woh aaj hi le jani ki ijazat de deta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
armaan aur ridhima ghar ke bahir car park karte hai phir dono
ghar mein jaate hai, karan une dekhta hai to unke chehre pe muskaan aa jati hai

Karan think "mujhe aisa kyon lagha jaise Ridhima ke roop mein Nikita hai"

Ridhima, karan ke phair chune laghti hai to woh use rokhte hai aur use galle lagha te hai

karan: tumari tabiyaat kharab hai kaise jhuko gi aur pehle kabhi meine tumhe apne phair chune diye hai bethiye do dil chuti hai
phair nahi

Ridhima: uncle aap waise ke waise hi hai

phir ridhima samir ko hi bolti hai

Samir: hi ridhima, aab kaisa feel kar rahi ho?

Ridhima: aab kaafi better houn tumare bhai ne mera itna khayal jo rakha

Samir: main to believe hi nahi kar sakhta ki 6saal baad tumhe main dekh raha houn maine kabhi socha hi nahi tha

Ridhima: maine bhi kabhi nahi socha tha ki main yahan aap logon ke ghar

Samir: tum aise kyon baat kar rahi ho?

Ridhima: mera matlab hai ki pehle Nikita thi yahan par kash woh aaj bhi yahan hoti uske saat batein karti sab share karti aur yeh do mahine jaldi ghussar jate

Karan: yeh sab choro, thank you tumne hamari chotti si pari ko bacha liya aab wohi to meri zindagi hai, is ghar ki zindagi!

Ridhima: uncle aap aise mat boliye sneha ko kuch nahi hoga main Nikita ko to nahi bacha payee lekin aab main sneha ke saat houn use main kuch nahi hone doungi, main yehi dua mang thi houn ki sneha ki maut mujhe aa jaye use kuch na ho

Armaan ko kuch purani batein yaad ati hai

**flashback**

Sneha bagh rahi hoti hai aur Nikita uske piche piche

Nikita: tum bohot shetaan hogayee ho milk piio tumhe strong banna haina?

Sneha: maa aap roz mujhe aisa bol kar milk deti ho, jab yeh pii kar main mar jaoungi to (nikita rokh deti hai usse bolne se)

Nikita: chal pagal, tujhe maut ane se pehle mujhe aa jaye, phir aisa kabhi mat bolna

Sneha: meine itna hi bola na mar joun mere class mein bachche aise hi bolte hai, thik main nahi bolougi lekin mujhe nahi piina

Nikita: armaan isse dekho itni ziddi hogayee hai

*************
(present)
Samir: ridhima tum to bilcool Nikita bhabhi jaise baat kar rahi ho, woh bhi yehi kehti thi

Armaan wahan se chala jaata hai phir ridhima sneha ko hug karti hai

Karan: bohot dher hogayee hai ridhima tumhe araam kar lena chahiye jao jaa kar sneha ke saat so jao

Sneha: chalo unty main aapko apna room dikha thi houn, agar aapko pasand na aya to mera papa ka naam Armaan nahi

sab uski baatein sun kar haste hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ridhima aur Sneha dono room mein hoti hai, phir sneha ridhima ko kehti hai

Sneha: unty aab mujhe kahani sunao na?

Ridhima: mujhe to nahi ati hai

Sneha: please unty sunayee na, patta hai jab mama hoti thi tab woh mujhe kahani suna na shuru hi karti thi main so jati thi aur aap to mama ki best friend ho phir to aapko kahaniye ani chahiye

Ridhima: chalo tum itna force kar rahi ho to thik hai, aaj main apni pyari si pari ko ek kahani sunao gi

Sneha ridhima ko kissi karti hai aur uski god mein sar rakh leti hai ridhima haste huwe uske sar par hth pher ne laghti hai

Sneha: aap bohot achi ho, aab jaldi se sunao

Ridhima: do rajkumariye thi aur unki zindagi mein ek rajkumar aya aur use ek rajkumari se pyar hogaya aur usne uska hath manga, rajkumari ne haan kardi kyon ki woh bhi usse pyar karti thi aur jo dosri rajkumari thi woh bhi uss rajkumar ko bohot pyar karti thi lekin usne us rajkumari aur rajkumar ki khushi ke liye une milaya unka saat diya aur unki shaadi hogayee aur woh rajkumari akeli reh gayee

Ridhima sneha ko dekhti hai woh so gayee hoti hai....

****************************

 after 2 month, Sneha, Karan aur samir ridhima ke saat bohot gul mill gaye hote hai aur armaan ki woh hasi phirse laut ayee hai jo nikita ke marne ke baad chali gayee thi, ridhima apne bags pack kar rahi hai jane ke liye

Karan to armaan: armaan tu meri ek baat manne ga

Armaan: dad bol kar to dekhiye

Karan: main chahta houn ki tu ridhima ko rokh le

Armaan: main bhi usse rokhna chahta houn lekin woh hai ke maan thi hi nahi

Samir: Armaan meine Ridhima ki ankhon mein tumhare liye pyar dekha hai

Karan: use rokh kar usse shaadi karle

Armaan: nahi dad, aap aisa soch bhi kaise sakhte hai mere liye sirf woh meri friend hai

Samir: nahi armaan ridhima tumse kabhi bol nahi payee lekin woh tumse bohot pyar karti hai

Armaan: meri liye yeh asaan nahi hai, mere liye nikita hi sab kuch hai

Samir: maine tujhse pehle bhi kaha hai aab bhi bol raha houn ki tumhe biwi ki nahi lekin sneha ko to maa ki zaroorat hai, rokhlo ridhima ko

Armaan: jab sneha ko patta chale ga ki uski maa ki jagah koi aur le rahi hai usse acha nahi laghe ga

Phir Sneha baghte huwe ati hai

Sneha: papa patta hai mujhe acha nahi lagh raha, main ridhima unty ko bohot miss karungi unone bilcool mujhe maa ki tarah sambala hai, raat ko mujhe roz kahaniye sunaya karti hai maa ki tarah, please papa une jaane mat do rokhlo mere liye, mujhe ridhima unty ke roop mein maa milli hai main nahi chahti woh bhi Nikita maa ki tarah challi jayein, mujhe ridhima unty ke roop mein maa mill gayee hai, please papa rokhlo na maa ko

Sneha rone lagh parti hai, to armaan ki ankh mein bhi ansoo aa jate hai,

Samir: dekho Armaan Sneha bhi yehi chahti hai

ridhima niche ati hai bags le kar armaan uske paas jata hai aur finaly armaan gutno par beth kar ridhima ko propose karta hai

Ridhima: armaan yeh kiya kar rahe ho?

Armaan: Ssshh!! mujhe bolne do, maine bhi in dinon tumare liye kuch feel kiya lekin main nahi jan paa raha tha ki yeh kiya hai, aaj ek bachchi ne apni masoom baton se mujhe samjhaa diya, main nahi chahta ki ek baar phirse mera pyar mujhse dhur hojaye, sneha ki maa usse dhur hojaye, kiya tum meri saathi aur meri bethi ki maa bano gi?

Ridhima yeh sab sun thi hao to uski ankh mein khushi ke ansoo aa jate hai, woh moo hilate huwe haan bolti hai

Ridhima: kabse mujhe is pal ka intezaar tha, main din raat yehi sapna dekhti thi ki tum mujhe propose karo ge lekin ek pal aisa aya jab mujhe lagha aab bohot dher hogayee hai chor de yeh sab sochna, armaan tera nahi hai kissi aur ka hai, kher yeh sab choro main tumse wada karti houn main Sneha ka pura khayal rakhoun gi

Armaan uth kar ridhima ke ansoo saaf karta hai aur usse kehta hai

Armaan: aur mera khayal nahi rago gi? (smile)

Ridhima: tum bhi na!!

Armaan ridhima ko hug karta hai phir Sneha bhi une hug karti hai

Sneha: aab mere family complete hogayee hai!!!!

after 1 month, Armaan aur Ridhima ki shaadi hogayee hai aur Samir ki bhi Prachi naam ki ladki se, sab bohot khush hai...

Ridhima ko aisa ehsaas hota hai jaise Nikita unke bohot paas hai

Nikita: aab jaa kar mujhe sukoon milla hai, tumse acha aur koi armaan aur sneha ka khayal rakh hi nahi sakhta, mujhe khud se zyada tum par yakeen hai, tum hamesha khush raho yehi meri dua hai, sabka khayal rakhna aur aapna bhi

yeh keh kar Nikita gayab ho jati hai, Ridhima ke ankh mein khushi ke ansoo hote hain

Armaan: Ridhima kiya huwa tum ro kyon rahi ho?

Ridhima: mujhe aisa ehsaas huwa jaise Nikita yahan thi aur woh hum sabko khush dekh kar bohot khush thi....
 Last Part!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
I hope u all like it!!
feel free to comment
and hit the like button


Edited by amira_saeed - 13 years ago
sammy4u thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
last part !!!!!!!!!!!!!
howz that possible?atleast advance mein inform toh karna chahiye na
well the part was great
loved it
kweetrockstar thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 13 years ago
beautiful ending
loved it

love
pooja