Aakash aur Doll ki Shaadi- You Are Invited
Finally there is some good news for the PRians. Our dear Aakash has won Shravani's heart. It all happened in Juhu beach yesterday. Aakash came to Mumbai for some project related work and while having a stroll on the beach, he happened to see a beautiful girl sitting alone. Akash felt as if he knows the girl very well. He went to her and to his utter surprise it was Shravani. Just see aaksh kaise shravani ko patate hain.
Aakash- kya main sapna dekh raha hun?
Shravani – tum kaun? Waise mera naam sapna nahin shravani hai
Aakash- aaj tak tumhe sapne mein hi dekhta aaya tha Shravani..par aaj haqeeqat main tumhara deedar karke aisa lag raha hai…tum to sapne se bhi sundar ho…
Shravani- kitne badtamiz ho tum..kaun ho tum..
Aakash- bande ko aaksh kehte hain
Shravani- tum aakash ho ya dharti..mujhe kya karna
Aakash- nahi..dharti to tum ho..aur dekho door.. aaksh aur dharti ka Milan ho raha hai
Shravani- flirt karne ko koi nahin mila
Aakash- yeh mere dil ki awaz hai doll..sadiyon se tumhara intezar karta aaya hun
Shravani- par kyun?
Aakash- tumhari aankhen Shravani…aisa lagta hai jaise tumhari honthon ko kuch kehne ki zaroorat hi nahin hai..tumhari aankhen bayan karti hain tumhare dil ka haal
Shravani- to kya hai mere dil ka haal?
Aakash- tumhe ek sachhe saathi ki zaroorat hai
Shravani- to manav hain na
Aakash- kaun sa manav? Wohi jo Archana ke pallu mein bandha hua hai?
Shravani- Aakash yeh kya keh rahe ho tum
Aakash- wohi jo tum samajh nahin pa rahi ho. Manav kabhi tumhe gale lagayega bhi to uska dhyan Archana pe hoga. Kabhi tumhe kiss bhi karega to Archana ke honth usko yaad aayenge
Shravani- kyon mere honth kya kiss ke layak nahi..
Aakash- kisne kaha babes..tumhare honth to rasile hain janeman…unke saamne to kolkata wale rasgulle kuch bhi nahin…tumhe ab bhi yakin nahin hota…chalo tumhe kiss karke main dikhata hun.
Shravani- jyada syane mat bano..doori bana ke baat karo. Main Manav ko bhula nahin sakti.
Aakash- Manav ko apni zindegi jeene do..wo tumhe kabhi pyar nahin kar payega na ki tumhare pyar ki kadar tak karega..aur darling achha jeevansaathi wohi banta hai jo tum se pyar karta ho na ki tum jis se pyar karti ho
Shravani- par?
Aakash- tum kab samjhogi meri jaan…main tum se bapanaah mohabbat karta hun..meri ishq ki unchai kitni hai mere dil ki aah se puchh lo..mere pyar ki gehrai kitni hai meri aankhon ki nami se puchh lo. Ab yeh doori mujh se bardaast nahi hoti. Aao mere gale lag jao.
Shravani- par main tumhe nahin janti
Aakash- jan jaogi meri jaan…bas ek baar sab kuch bhul ke mujhe pyar bhari awaz se bulao..
Sharavni- log kehte hain meri awaz kaafi gayi gujri hai
Aakash- kaun kambakht kehta hai aisa..jab tum baat karti ho aisa lagta hai hawa hazar ghoongroo bandhe khule darichon se kamre mein aa rahi hai..chham chham chham..ek baar pyar bhari nigahoon se apne is aashiq ko dekho
Shravani- log kehte hain mere face mein koi expression hi nahin hai
Aakash- bhad mein jaye duniya wale.. tumhari shakal ek khilta hua gulaab hai..mehekti hui ghazal hai…jitni baar main dekhta hun mujhe tumhare is chand se mukhde par har baar kuch na kuch naya dikhta hai..aur Shravani..tumhare bachhe ko bhi main apna naam dene keliye tayaar hun
Shravani- kaun sa bachha?
Aakash- jo tumhare andar sachin ki nisaani hai
Shravani- yeh sab natak hai re… koi bachha wachha nahin hai..woh to main manav ko phasane keliye natak kar rahi thi.
Aakash- sach…aao mere gale lag jao
Shravani- tumhari baaton se aisa lag raha hai..tum mere sachhe premi ho..
Aakash- mujh se shaadi karogi? ( filmy way mein propose karta hai)
Shravani- ( sharmake) haan aakash…mere papa abhi US mein hain..gtalk mein mil jayenge..unse baat kar lena..aur fir hum shaadi karenge..
Aakash- I love you Shravani..meri jaan
Sharavni- I love the way you love me Aakash
(Dono gale lag jate hain)
I think ab ArMan union mein koi dikkat nahin rahegi.
comment:
p_commentcount