aray sang dil ye kya kiya tum ne.........?
khawab dekhe thay ke sang zindagi batayein ge
mil ke barsaat ki baarish me rang uraayein ge
jab december me doobe ga shaam ka suraj
us ki aankhon ke samundar me hi dhal jayein ge
us ki aaghosh me subah ki ibtaba hogi
us ki aaghosh me raaton ki intiha hogi
usko dekhein ge ya khirki se chaand dekhein ge
sard raaton me ise raat bhar jagayein ge
humne tinke chunay thay khawabon ka
ik nashmeen kabhi banaya tha
apne hathon se haaye wo jala diya tumne
aray sangdil ye kya kiya tumne..........?
tum to kehte thay ke khushiyaan sada sajaoun ga
teri raahon me baharein sada bichaoun ga
main falak se sitaare b torr laoun ga
tum to kehte mujhe aansuon se nufrat hai
"tum jo ro do to mera dil b larz uth-ta hai
apne honton se tere ashk choom jaoun ga
tumko rone nahi doun ga sada hasaoun ga"
phir kyun aankhon me ye sawan basa diya tum ne
aray sang dil ye kya kiya tumne.......?
janam diya mujhe maa ne, di zindagi tumne
phir meri jaan hi badan se cheen li tumne........?
mere be-jaan dil ko dharkanein lotaayi thi
meri zulmat ko nayi roshini dikhayi thi
haan chalay thay meri raahon me roshini karne!
meri ghar taq jala diya tumne
aray sangdil! ye kya kiya tumne..........?
humsafar ban k safar tay kiya mohabbat ka
aablay paaoun ke thay sila meri musaafat ka
har ik raste me mere sath chala karte thay
gir paroun main to mujhe thaam liya karte thay
beech raste ke mujhe khud gira diya tumne
mujko tanha sar-e-raah gham-e-manzil chora
na khud hi thaama na kisi or k kaabil chora
balke ratsa hi apna badal liya tumne
aray sang dil ye kya kiya tumne...........?
khud ko koso agar tum b kabhi jafaao par
rashk aane lagay tumko meri wafaon par
phir se kabhi ehsaas jaage kabhi mohabbat ka
ek aansu hi agar gir paray nadamat ka
hum to dushman ko b aakhir dua dete hain
laut aao tumhe hum ab b sada dete hain
meri ik b sada ko nahi suna tumne
aray sang dil ye kya kiya tumne...........?
ðŸ˜ðŸ˜ðŸ˜
comment:
p_commentcount