LOVE STORY (some relations live forever) - Page 3

Created

Last reply

Replies

176

Views

29872

Users

8

Likes

130

Frequent Posters

rajatrangini thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago

 

contted....

two years passed like this only......
prithvi has got a very good placement in a company of canada..he was very happy :) :) :) :).

today nandini was going to delhi,,for a two day training by the evening train,,so prithvi has planned to go for some shopping with her
before leaving her to the station.

in the parking of the shopping plaza..

prtihvi: "nandu tum andar resturent main chalo main abhi gadi park kar ke aata hoon"

nandini: " ok"

while she was going towards the resturent,,in the nearby shop she saw a watch,,and she really liked it very much.
and she entered that shop to inquire about that watch.

when prithvi reached to the restourent .. ,,he doesn't found nandini there,,he waited there for a while,,but after that he became a bit tense..
he ran all around in the mall like mads,,to search her,but doesn't found her,he was totally blank..😕😕

after a long search..he too get in the same shop in which nandini was gone,,and when he saw her there
"nandini pagal ho kya tum ,,maine tumhe kaha tha ki mujhe resturent main milna,or tum... pata hai main kitna pareshaan ho gaya tha"

nandini: "relex ,,chill,pagal main nahin tum ho ,,shayad tum bhool gaye ki mobile phone naam ki cheez ka invention ho chuka hai,and more importantly u hav my number,,tum call kar sakte the ,,"😆😆😆😆

prithvi: " yaa actually ,tumhe wahan nahin dekha to mujhe kuch samajh nahin aaya,,pata nahin aj bohut darr lag raha hai ki kahin main tumhe khoo na doon"

nandini: " don't u worry,,itnii jaldii tumhe chod ke jaane ka mera koi iraada nahin hai,,,trust mee agar mar bhi gayi na to bhi bhoot banke tumhe pareshaan karoongi;,,ab jaldi chalo,,jo bhi lena hai get it ,do ghante baad meri train hai"

they finished their shoping,,and reached the station..

the train was standing on the platform..

prithvi was looking a bit low..so nandini said.."kya hua..do din ke liye hi to jaa rahi hoon..
pleasee tu aisee shakal mat bana..darr lagta hai"

prithvi: "do din ki training hai..u will come back in three days!!"

nandini: "dekh ab itna senti mat ho ..warna main rona shuroo kar doongi,aur waise bhi😭
tum bhi to do maheene baad canada jaa rahe ho..maine to kuch nahi kaha"

prithvi: "soo..main tumhe saath leke jaaonga"

nandini: "seriously????"😛

prithvi: "offcourse"😃

then the train whistled ........
nandini: "okk..we will carry on this topic..
but pleaseee..mujhe wish to kar do"

prithvi: "yeah...all the best..mera naam roshan karo..
gud byeee"

nandini: "nnhhm...see u soon.."

and she entered the compartment..the train left within fer minutes..

*******************************************

the next day prithvi ,,went to nandu's house and ..

mrs sudha: " are prithvi ; aaoo beta,,"

prithvi: " aunti aap free ho na,,mujhe aap se kuch baat karni hai"

sudha: "haan mere paas aisa kya kaam hai ,,tu bol"

prithvi: "aunti main soch raha hoon,,ab to meri padhaii bhi poori ho gayi hai,,or aacchaa job bhi mil gaya hai;hopefully do months main canada chala jaaoonga,,to soch raha hoon ab shadi kar leta hoon"

sudha: "haan!!! baat to theek hai..aage bol"

prithvi: "to aap bataeeye aapka kya iraada hai,,i can promise u,,apki beti ko hamesha khush rakhoonga,,"

sudha: "agar main naa boloon to"

prithvi: "aunti aap mujhe naa nahin kahengi,,or agar aisa hai to pehele hi bata deta hoon,,nandini ko bhgaa le jaaoonga"

both of them start laughing on this..

prithvi:" actually aunti ,,main nandini ko uski life ka sabse bada surprise dena chahta hoon,,jab wo delhi se wapas aaegi,to main use ye good news dena chahta hoon"

this was really the big day for which prithvi was waiting....
he arranged a party for her..with the help of his friends..in which he was supposed to ask her for marriage...
the 3rd day,,in the afternoon..he was gone to a jwellary shop to buy a ring for nandini,,and there while he was selecting the ring... a sound came in his ear..

he turned towards the television of the shop,,there was in news..

"aj delhi ko bomb dhamakoon ne dhahlaa diya,,ek ke baad ek panch jagah bomb blast hue jisme 200 se zyada longon ke mare jaane ki aashankaa jataaii jarahi hai..
aatankiiyon ne shahar main dhahshat macha rakhi hai,,
anumaan lagayaa jaa raha hai ki is waqt delhi main 10-15 aatanki chupe hue hai,,police ki khoj zaari hai,,

abhi abhi khabar mili hai ki do aatanki harinagar iilake kee ek building main hai,,police ki unke saath firing zaari hai"

after hearing this...the ring which he was holding between his fingures,,,just slipped down from his hand..
he was blank..as if the floor has been slipped off from down his feets..

 

Soulmate_Sana thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
wow nice update
but plz dont make nadini dead in ur ff
 
 
 
sana
 
rajatrangini thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago


contted...

here pritha has also seen the news..mrs pari said to pritha "prithvi ko call karo ,or haan use kuch mat batana ,,bas ghar aane ko bolna"

pritha: "hello prithvi,,kahan ho tum"

prithvi: "hello diii ......dii nandini :'( :'("and he just started crying....

pritha to her mom "ma use sab pata chal gaya"
mrs pari took the phone.

pari: "beta ,,tum jalldi se ghar aa jao"

prithvi: "nahin maa main abhi delhi jaa raha hoon"

pari: "ye tu kya kah raha hai,,wahan ki condition abhi bohut kharab hai ,,tu abhi wahan nahin jaaega"

prithvi: "i know wahan ki condition bohut kharab hai ,isliye main yahan nahin rah sakta ;;maa nandini,,she needs me,or agar aaj use kuch ho gaya ,to main ..."

pari: "beta lekin tu wahan jaa kar bhi kuch nahin kar sakta"

prithvi: "bhale hi main kuch nahin kar sakta,,,but yahan rah kar ek pal bhi jee nahin sakta,,"

pari: "beta,,main tujhe kaise samjhaoon,,waise hi nandini wahan hai ,,ab tu bhi wahan chala jaaega too"

prithvi: "maa aap kehti hain na ,,ki hota wahi hai jo kismat main likha hai,,par phir bhi hum kosish karna nahin chod sakte,,theek adhe ghante baad ,delhi ki train hai ,i m going"

he cuts the call.

pritha: "kya hua maa,,main arjun ko phone karti hoon,,uska ghar station ke paas hai ,wo prithvi ko rok lega"

pari: "koi fayada nahin hai ,,wo nahin rukega ,,bas ab to yahi dua karo ki dono sahi salamat wapas aa jaaen"

********************************************8

prihvi get into the train ,,in the midway he tried to call nandini ,but there were no signals..as soon he get down on delhi station,,he saw a diif face of delhi,everyone was running ,,screeming,,crying.
he became more,,frightened..

now he again tried to call nandini..this time it ringed up..

prithvi: "hello nandini,,nandini tum theek to ho na"

nandini: "haan prithvi,,main theek hoon,,u don't worry,,but i don't know ki agle pal yahan kya hone wala hai"
nandini ki aawaj sun kar prithvi ki jaan mein jaan aa gayi.

prithvi: "tum kahan ho,,main tumhe yahan se lene aya hoon"

nandini: "tum pagal ho kya ,,yahan kyon aaye ,o ,my god tum jaante bhi ho ki yahan kitna khatra hai,,pehele tum mujhe bataoo ki tum kahan ho"

prithvi: "main abhi railway station par hoon"

nandini: "now listen to me,,tum wahan se kahin nahin jaaooge,,bahar bohut khatra hai,;
main abhi station se thoda door delhi ke ek regional police station hai ,,wahin hoon ,or safe hoon..bas tum wahin mera intezaar karo,jaise hi rasta clear hota hai ,,main khud wahan aajaaoongi,,u don't hav to leave the place"

prithvi: "okk ,,but apna khayal rakhna"

nandini: "tum bhi ,,wait for me ,,main jaroor aaoongi,,,abhi rahkti hoon,battery down hai"

prithvi was waiting for nandini,,in the waiting room of station,,there was a television set there,,where everyone was looking for the news of the current situation..
suddenly ...
BREAKING NEWS

" abhi abhi sahar main 2 jagah or bomb dhamake hue hai,,jismin se ek,,rohini ,ke market place main hua hai ,,or ek ,delhi police station main,ashanka ye jataayi ja rahi hai,,ki is hamle main police ke kafi jawan shaheed hue hai,par abhi dawe ke saath kuch bhi nahin kaha ja sakta,,,,"

itna sunte hi ,,prithvi,,just gone out of his mind..


place ,,delhi police station..

everythingh was destroyed,here. in one corner we see a girl,ie nandini she was very injured,use dekh kar aisa lag raha tha maano,bas kuch saanse hi bachi hai uske pass,,shayad apne us waade ko pura karne ke liye jo usne prithvi se kiya tha.
bas prithvi tak pohuchne ki himmat nahin hai,..she is trying to move,,but shayad wo jaanti hai ki zindgii ab uska saath zyada der nahin degi

******************************************


here ,,on listening the horrible news,,prithvi just couldnot controll himself,and he just left the station,.bas ab use nandini se milna tha chahe jo bhi ho,
he started running madly on the road. all around firing was going on,,but he cared of nothing..
bas wo us police station main pohuchne hi wala thi ki ,,a bullet stuck in his back.........
"nandini" he screemed,,took a few more steps ,and then fall down......just said "i am waiting....."
...


shayad in donon ne kabhi aisa nahin soocha hoga ,,ki ye din bhi unki zindgi main aaega,,jab sirf ek doosre se akhri baar milne ka mooka bhi kismat unhen nahin degi.
ye do din ki doori,,unhe ek doosre se itna door kar degi.

soch kar ajeeb lagta hai ,par sach hai ,kuch log jinki aapse koi dushmani nahin hoti ,aap to unhen jaante bhi nahin hai phir bhi wo aapki kismat ka feensla kar dete hai,..na jaane aise humloon main kitne ghar tabaah ho jaate hain,,kitne innocent log maare jaate hain...or hum kuch nahin kar sakte..

a small dot can stop a big sentence,but few more dots give it a continuity...amazing but true..every end is a new begining.

log kahte hai ,,jab marte waqt,,insaan ki koi icchaa adhoori rah jaati hai ,to wo use poora karne jaroor wapas aata hai..
shareer marta hai par aatma kabhi nahin marti,,kuch rishtey aise hote hai jo kabhi nahin marte,,some relations live forever

to yahan se shuru hoti hai ek nayi daastan,,daastan apne pyar ke intezaar ki.,,ek aise intezaar ki jo koi nahin jaanta ki kab khatam hoga,,,bas vishwas hai ,,ki wo apna waada zaroor pura karegi..

 

 

 

rajatrangini thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: sana866

wow nice update

but plz dont make nadini dead in ur ff
 
 
 
sana
 

thankss and sorry sana..
this story is prewritten..so can't make such changes..
u enjoy with it..
iqra11 thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago
hey huni
very nice update...actually a very wonderful ff
plzzz add me to ur pm list
thanks
update the next part plzzz
KrishnaSourav thumbnail
Posted: 14 years ago
Superb update, too good dear.It's very emotional update, sach mein destiny hume kaha le jate hain koi nehi janta.
anyway, post the next part soon dear.
Soulmate_Sana thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
superub yaar
nice update par how will she return shent she dead or alive i cnt understand
anyways ur ff is amazing
plz continue soon
and thanx for the pm
 
 
sana
rajatrangini thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago

contted...

jo waada kiya wo nibhana padega
roke jamana chahe roke khudaaye
tumko aana padega
jo waada kiya wo nibhana padega

 ye maana humne jaan se jana padega
 par ye samah lo tum ne jab bhi pukara
 hum ko aana padega
 jo waada kiya wo nibhana padega


promisess are to be kept.....

PLACE : LUCKNOW

lucknow ko nawabon ka shahar kaha jata hai,,yahan ke hi ek jaane maane nawab sahab hai 'nawab atif khan'
bohut maan hai unka lucknow main,,shanoo ,shokat se zindgii jeete hai,
unka ek chota sa priwar hai,nawab sahab ,unki begum (zenab) ,or unki choti behan (asma),,jo yahan ke ek aalishaan ,ghar main rehte hai

chaliye hum is ghar ke andar chal ke dekhte hai ki yahan kya hua hai??

wahan ek doctor nawab sahab se baat kar rahe the "nawab sahab,,humne bohut koshish ki par hum aapki;begum ko nahin bacha sake,"
he added "aapke ghar ek bete ne janam liya hai"

nawab: "ya allalh,," and he left to see his wife for the last time.

asma,who was beside the nawab,said "bhai jaan ap fikr mat keejiye,,hum ise apne bacchee ki tarah hi pyar denge,,ise bhabi jaan ki kami kabhi na maaloom hone denge"

she took that beautiful child in her hands,,and kissed on his forehead,,"ab tum hamare ho; apni khala se dosti karoge na"

few days spend like this..apni begum ke jaane ka gum nawab sahab ke dil main kam na tha ,,par jab bhi wo us pyaare se bacchee ko dekhte to sab kuch bhool jaate

asma: " bhai jaan ,,maine iske liye ek naam socha hai,,ap bataeeye kaisa hai "sameer" ek hawa ka jhonka ,,jisne hamari zindgi khushiyon se bhar di"

nawab: "bohut pyaara naam hai ,,hume pasand hai ,,aj se hum ise isee naam se bulaayege  SAMEER "


HAAN AP SAB SAHI SAMJHEE YE HEE HAI HUMARA PRITHVI,,AB AAP APNI NANDINI SE NAHIN MILNA CHAHEENGE,,TO PHIR CHALIYE.....

PLACE : POONA

khushi,,wo jo agarwal family main ke liye dherr saari khushiyan saath leke is duniya main aayi hai,,
mr. alok agarwal ka khushi ke aate hi promation ho gaya,,unhone apna ek naya ghar khareed liya ,or apni choti see gudiya ke ghar aane par ek choti see party bhi di..

**********************************************

har koi apni zindagi main khush hai ,,par shayad kisi ne un do bacchoon kee ankhon main chupe us intezaar ko nahin dekha,,jise hum or aap mahsoos kar sakte hai.

unki nazaren jab bhi charon taraf jhomti ,,mano bas ek doosre ko us bheed main khojne ki koshish karti..

bas ise intezaar main ki kab zindagi unhe ek doosre ke saamne le aaye,,

***********************************************

time never stops for anyone..,,dekhte hi dekhte panch saal guzar gaye.
in panch saalon main bohut kuch badal gaya ,,par badla nahin to wo intezaar....

khuhsi was living her life just like a normal child..with her mom ,dad and her cousin diya in poona.....but our sameer,he was different,,har waqt udas rehta tha,,kisi se koi dosti nahin ,kahin aana jaana nahin,bas apne main hi mashroof rehta tha.
jahan bhi logon ki bheed dekhta ,wahan uski ankhen bas apni nandini ko dhoonne ki koshish kartiin..

nawab sahab bhi apne kaam main kaafi busy ho gaye,,or sameer ko time nahin de pate the,,par uski khala use bohut pyaar karti,,hamesha hi use khush rakhne ki koshish main lagi raheti,,par unhe kya pata tha ki uski kushi to kahin or hai.

ek roj nawab sahab asma se baat kar rahe the.

nawab: "asma,,tum to jaanti ho ki hummara,london main jo bussines hai wo kafi badhta jaa raha hai,ab use yahan rah kar nahin samhala ja sakta,,to main soch raha hoon ,ki hum london shift ho jate hai"

asma: "ji bhai jaan ,,aap theek kah rahe hai ,,sameer bhi bhuja bhuja sa rehta hai,jagah badalegi to shayad use bhi acchaa lagega"

sameer unki baaten sun raha tha,,waise wo zyada bolta nahin tha par ,jaane ki baat sunkar he rashed there and said
sameer: "nahin hum kahin nahin jaaeenge,yahin rahenge"

nawab: " beta london bohut acchii jagah hai ,,tum ek bar chal kar to dekho"

asma: "bhai jaan ,main use mana loongi,aap fikar mat kijiye,,bas jaane se pehle main sameer ko dargaah par lekar jaana chahti hoon,,kal wahan peer baba aane wale hai ,ek bar sameer ko unka ashriwaad mil jaye to sab theek ho jaeega"

nawab: "jaroor jaaeye,hume khushi hogi,to main agle hafte ke london ke tickets book kara deta hoon"

asma took that little boy to the darghah,,
wahan ek bohut jane mane peer baba aaye the,..

peer baba: "kya baat hai beti"

asma: "baba,ye sameer hai,,bohut udas rehta hai,jiddi bhi hota ja raha hai,aap hi allah se fariyaad kigiyee ,wo zaroor suneege."

baba,sameer ko dekhte hai,,or uske sir par apna haath pehrte hai "bohut pyaara bacchaa hai"

baba ,sameer se kahte hai
"beta,,kyon itna pareshaan hai; shant ho jaa,tere man main jitne bhi sawaal hai ,unke jawab tujhe milenge,,par intezaar kar
upar walle ne har kaam ke liye ek waqt nishchit kiya hai ,jab sahi waqt aayega to raste tuhje apne aap mil jaaenge"

sameer smiled on it.as if he has really got all the answers of his question..

asma: " iska kya matlab hai baba"

baba: "kuch nahin beti,,jise samajhna tha ,wo samajh gaya,,ab to jaa,baaki allah par chod de"

they left from there,,,and the most amazing thing was ,ki ghar pouchtee hi samer ne apni packing shuruu kar di..now he was ready to go.

and they flied out their way to london.


LONDON ek aisa shahar jiski khoobsoortee ko shabdon main bayan nahin kiya jaa sakta,,to phir chaliye apko dikhate hai wo jagah jahan humaare sameer ko apne aage ki life spent karni hai...


sab kuch itna khoobsoorat tha par phir bhi apna sameer khush nahin tha...
   kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
   par chupke is dil main tanhaaee paltii hai
   bas yaad saath hai....

asma ko ye samajh nahin aa raha tha ki wo sameer ke liye kya kare ki wo bhi aam bacchoon ki tarah khele khoonde,,khush rahe,,
so she took her to the market..
the place was new..enerything was beautiful..but still the boy was upset,

,par sameer ko wahan bhi kuch pasand nahin aata ,,,,,
achaanak uski nazar ek music store par padti hai,wo asma se wahan jane ke liye kahta hai,,
there he points towards a guitar,,

asma: "tujhe wo guitar chahiye"
sameer innocently nodded his head..
asma buyed thet guitar for him,,phir kya tha,sameer ke liye wo sirf ek guitar nahin tha,ek aise kadii thi jo use uski nandini se jodti thi.

bas iske baad wo kabhi udas nahin raha ,wo phir se jeene laga,,kahin na kahin wo ye jaanta tha ki jo uska hai ek na ek din use wo jaroor milega,,bas use us din ka intezaar karna hai..
his every note..goes for his love..
which inspires him to play more ...he has made music his life..because it really reminds him of his life..

prithvi kabhi ek acchaa painter nahin tha,,par shayad sameer ke paas apni yaadon ko sametne ka isse acchaa substitute nahin tha,,usne nandini ke hazaaron pictures banaye,,or unhe saamne rakh kar ,ghanton guitar bajaata rehta..
wo roj shamko tarris par jaa kar taaron se baatein karta
guitar bajaata or kabhi kabhi to wahin soo bhi jata tha

bas kuch yuhi 15 years beet gaye...

 

 

 

rajatrangini thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: letsrockshona

hey huni

very nice update...actually a very wonderful ff
plzzz add me to ur pm list
thanks
update the next part plzzz

thankss dear..surely i will pm u.
rajatrangini thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: PrithviSanyo1

Superb update, too good dear.It's very emotional update, sach mein destiny hume kaha le jate hain koi nehi janta.

anyway, post the next part soon dear.

 
thankss rakhi..
i hope u will enjoy this part too