Posted:
Aur jab DuSha ne Maharaj aur Maharani ki pair chhuyen unka asirvaad lene ke liye toh Maharaj aur rani maa unko pyar se galey laga liya....aur phir maharaj puru ne unhe apne paas bithaya aur puchha :
Dushyant humen asha hai ke aap ka yeh bhabishya yatra bahut safal raha hoga...kya aap humen nahin batayenge ke aap ne is yatra mein kya kya dekha aur jana?
Tab Dushyant bolte hein:
Han pitaji hum abashya aap dono ko apne yatra ki puri kahani batayenge...aur yeh toh aap ne satya hi kaha ke hamara yeh yatra safal raha...humne woh sab dekha aur jana jo bhabishya mein yahan hone vala hai...sabse sundar sthan jammu aur kashmir ka puri bhraman kiya aur wahan se aap sab logon ke liye bahut sare uphaar bhi laye hein...
Aur phir sab log DuSha se unki yatra bibrani sun ne mein magn ho gaye...uske baad Maharaj aur Maharani ne apne uphaar bhi liye aur uphaar ki kushal karigari dekh bahut khush bhi hue....
comment:
p_commentcount