FRIENDS,beside RAMJI GURMEETJI has played the role of LORD VISHNU ALSO SO WELL
there are ten famous incarnations(avatar ) of vishnuji
1)matsya
2)kurma
3)varaha
4)narasimha
5)vaman
6)parshuram
7)RAM
8) krishna
9)buddha
10)kalki
so i am writing a poem on vishnuji's dashabatar.bcz it is a poem i couldn't include all details.it is based on as far as my knowledge on vishnuji's avatars. if i have mistake anywhere pls forgive me.
hope u like the poem
HERE'S a small poem
ON
VISHNU'S DASHABATAR
pratham rup matsya dhar aaye
pralay se dharti ko bachaye
manu sang ki veda ki raksha
saptarshi ko diya suraksha
rup matsya ati pabankari
rup dhare prabhu mangalkari
he natha narayan vasudeb
duja me dhare prabhu kurmavatar
pith pe dharli bhari mandar
deb danab kare sagar manthan
mandar dhare kacchap bane sree narayan
jab asur amrit chin le jaye
mohini rup dhare prabhu aaye
debo ko amrit ka bhag dilaye
rahu ne ki chal to chaturbhuj bane une danda dilaye
tisra varaha rup mangalkari
jisme dharti danta me dhare sari
varaha rup ka mahima apar
varaha rup le taranhar
hiranyaksha asur atyachari
sagartale chupaye dharti hamari
us dharti ko bachane prabhu aaye
brahma ke naak se varaha garjaye
ki dushta asur ka prabhu ne dalan
gaye gungeet sare jagjan
prithbi ko aapne danta par dhare
varaha rup ka kare jai jag sare
chautha narasingha rup he bhishan
bhayarta rup dhare sree narayan
bhakta prahlad ke raksha hetu
singha aur nar ka ho gaya mishran
aisa na rup jag ne dekh paye
thar thar kap sab rahe jaye
aapne nakho siya kiya dusht daman
hiranyakashyap ko mare bhagwan
bhakto pe jab sankat aaye bhari
rup anek dhare jagadhari
rupo ka barnan he anupam
dekho singha aur nar dono ka huya sangam
pancham vaman rup manhari
chote se baman ka rup dhare giridhari
bali ka karne ahang ka mardan
vaman rup me aaye narayan
teen pag bhumi bali se mang jaye
do pag me hi dharti saresamaye
teesra pag bali mastak par rakhe
sutal lok ka raja banaye
bali ka jiban dhanya ho jaye
narayan ka charan ka parash jo paye
jo na pa sake gyani sare
uo subha charan mathe par dhare
sashtha rup parshuram dhare aaye
ahankari ka ahankar mitaye
liyo parshu hato me prabhubar
kshatriya ka daman kar jaye
ikkisbar ki kshatriya mardan
jamadagni ka nandan parshuram bhagwan
sahasra bahu sahasrarjun ka
jhute abhiman ko mitaye
saptam rup he sabse nyari
jis rup me dharma pale prabhu sari
ram he rup ue mangalkari
us rup ka kare bandan bhakta sari
dasharath ka he rajnandan
kaushalya ka he prano ka spandan
sare awadh ke rajdulare
ram rup li hriday jeet sare
janaki ma ko swayambar me jeeta
ram ki ban gayi lakshmi ma sita
narayan lakshmi milan ho jaye
sare jag unpar pushp barshaye
pita ka bachan ko dene jo man
lakhan siya sang ban chale bhagwan
putra ka dharma jagat ko sikhaye
putra dharma ka adarsh pheyelaye
ravan ne ki ma sita ka haran
na jane paapi ye mrityu ka karan
paapi ka raghubar daman kar aaye
samul ravan ka naash karaye
banar sang ki sagar par
sang chale hanuman shiv-avatar
bhakta sreshtha bane hanuman
ram kripa ka ras chakh jaye
ram-rajya awadh me chaye
ram ka jay geet sare jag gaye
bolo jai ram,jai siya jai lakhan
ashish denge swayam bhagwan
ashtam rup bhi he bare pyari
kanha hamare krishna murari
debaki mata ke ashtam garbha me
karagar me janme giridhari
janam se hi chaye jo mahima
leela aisa ki jiska na upama
kansa ke rakshas mare sare
nanda ke gharme kanha bare
jin nahe hato se makhan khaye
uo hato se dusht ko mar bhagaye
aapne chote se mukhmandal me
maa ko biswa ka darshan karaye
nanhe hato se uthaya gobardhan
kaliya ke sar me kare prabhu nrityan
radharani sang prem barsaye
prem ka siksha ras se dilaye
dharma ka kiya prabhu ne jo sthapan
kansa sang dushta ka kiya mardan
gita ka path jagat ko sikaye
karma ka diksha jagat ko dilaye
kahe prabhu jab adharm jag me bare
tab bhinna samay bibhidha rup hum dhare
nana samay nana rup hum liyo
santo ka hum udhhar kare
nabam he santi ka rup anupam
buddha rup dhare deb narayan
raja ka beta ho kar bhi ghar chore
santi ka jag me kiya jo sthapan
peepal ke tale moksh paye
bodh-gaya pavan dham ban jaye
buddha uo anupam rup jo
sare jag me shanti dhaja phayalaye
buddha rup ka geet gaye jag
aarti bandan unka kar jaye
anta me kalki rup pavankari
kali ke anta me dhare sree murari
jab adharama ka palla ho bhari
hinsha aur dwesh se bhare jag sari
pralay ke purb kalki rup aye
dharma ka dhwaja dharti par phayalaye
paap ko punya me badalta jaye
sukh santi ka sthapan jo karaye
comment:
p_commentcount