Sher O Shayri

Faraz Ahmed's SOS [CLOSED] - Page 2

Created

Last reply

Replies

378

Views

54060

Users

16

Likes

677

Frequent Posters

naveedafzal thumbnail
Posted: 14 years ago

hajoom-e-khawab se jab kabhi fursat mile tum ko"faraz"
agar samjho munasib to humain bhi yaad kar lena.

----------


lamha lamha mera is dukh main basar hota hai "faraz"
k zindagi bohut kam hai tujhy chahne k liye,,,,
 
--------
 
yah mut sooch teri ruswai ne aaj rula daya faraz.
ek shakhs ne puch tha bus meri muhabat k bare main...
 
--------
 
hum apni rooh tere jism me hi chor gaye Faraz
tujhe gale se lagana to sirf ek bahana tha..
 
-------
 
mat kar itna phoolon se piyar faraz.
koin k phoolon ka aashyan kanto mai hota hai.
 
------
 
Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko FARAZ
Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga
 
------
 
Mere jazbat se waqif he maira qalm FARAZ
Main pyar likhon to tera nam likha jata he.
 
----------
 

Hum Ko Maloom Tha Anjaam-E-Mohabbat FARAZ
Humne Akhri Harf Se Phele Hi Qalam Tor Diya
 
--------
 
 

 

 
 
Hi Readers,
This is Naveed from Pakistan new to this forum.
If U dont mind, i would like to share my posts with U.
Thanx
KYPH-AK thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Hi Naveed welcome to the form 😊  and u r most welcome to share ur posts with us
Edited by neghit - 14 years ago
..imperfect.. thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Originally posted by: naveedafzal

 
 
Hi Readers,
This is Naveed from Pakistan new to this forum.
If U dont mind, i would like to share my posts with U.
Thanx

 
 
sure!! we'd love to see ur posts
welcum to the forum naveed
 
urooj
..imperfect.. thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 14 years ago

us se milte hi ye ehsaas hua tha mujhko

ye wohi shakhs hai jo lambi judayi dega..!!
 
-----------------
 
jab chalte thay to hum tanha thay,
 
phir hum mile, gham mile,
 
phir kaafla sa ban gaya..!!
 
-----------------
 
apne ahdaab se umeed thi tumse to na thi,
 
dast-e-tanhaayi me tumne bhi mujhe tanha chor diya..!!
 
---------------
 
 
KYPH-AK thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 14 years ago
very good keep it up 👍🏼
KYPH-AK thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Here some from me

Kaun Deta Hai Umr Bhar Ka Sahaara "Faraaz,.
Log To Janaaze Par Bhi Kaandhe Badalte Rehte Hain,.


******************************************

Hum T?o Agaz-E-M?ohabbat Mai Hi Lut Gay "Faraz"
L?0g Kehtay Hai? K A?jam bura H?ota Hai...!!!

*********************************************

Kuch muhabat ka nasha tha pehle hm ko Faraz.
Dil jo tota to nashe se muhabat ho gai.

..imperfect.. thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 14 years ago
humse bichar kar uska takabur bikhar gaya,
 
har ek se mil raha hai bari aajzi ke sath..!!
KYPH-AK thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail
Posted: 14 years ago
AAj tak Qaim hai uskay laut anay ki umeed
AAj tak tehri hai zindagi apni jaga

Laakh ye chaha k us ko bhool jaoun FAraz
HOSLAY apni jaga BEBASI apni jaga


***********************************************************
Baad marnay kay bhe us ne choora na dil jalana FAraZ
Rooz phaink jata hai phool saath wali qabar par


**************************************************************************

A_Jamali thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Jin ko milta hai bohat sa pyar
Vohi Lowg toh khush naseeb hote hai

Aur jinke liye nafrat bhi na ho jahan mein
Vohi lowg haqeeqat mein gareeb hote hai
 
i!.. A . J ..!i
Sneh-Jiwan thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
Faiz Ahmed Faiz Sahib Ji Ki Shairy
 
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye

[azaab=trouble, difficulty]

baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye

har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho
saamane phir wo benaqaab aaye

umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye

kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

na gaii tere Gam kii saradaarii
dil me.n yuu.n roz inqalaab aaye

jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye

is tarah apanii Khamashii guu.Njii
goyaa har simt se jawaab aaye

'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye