‘Kahani puri filmi hai’VS(lovestory-vivahtak)end - Page 7

Created

Last reply

Replies

79

Views

21756

Users

13

Likes

9

Frequent Posters

shruja thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
Sorry for double post
Edited by shruja - 15 years ago
Marathi_Mulgi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: act12

nice FF plzz update and PM me wen u do

Thank u so much
Marathi_Mulgi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: ashah030

heyyyy

i am just posting this message so that u know that i m ashah... (the one who is bothering u and sending u 10000000 pms.... actually my account got deleted for some reason...
anywaysssssss pls pls plssssssssssss update soon... will be waiting
love ya
ashah
p.s. plsssss pm me when u update next...

thank u so much
Marathi_Mulgi thumbnail
Posted: 15 years ago
Thank u so much
Marathi_Mulgi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: shruja

Sorry for double post

No probs
Marathi_Mulgi thumbnail
Posted: 15 years ago
Here is end part :
 
Nivriti bohot khush thi aur shaadi ki taiyari mein kho gaayi thi. Veer soch hi raha tha ke ananya ke beete kal ke baare mein maa kaise kahu. Veer ne nivriti ko akela paa kar kaha "maa hume apps eek baat kehni hai ananya ke baare mein" Veer ne baat shuru toh kit hi lekin aage kaise badhaye yahi wah soch raha tha yeh dekhkar nivriti ne veer se muskura kar bade pyar ke saath kaha "muze malum hai ke tume ananya ke baare mein muzse kya baat karni hai. Muze saab pata hai, dharam ne muze sab kuch bata diya hai. Hume tumhari chunav pe pura bharosa hai. Ananya rajkumari nahi hoti toh bhi hume yeh rishta manjoor tha. Kyon ki main apne bete ko bohot achhi tarah se jaanti hu. Uski chunav galat nahi ho sakta."  

 

Veer ke maan pe se saara boz ek zatke mein utar gayaa aur wah maa ke gale lag gaya aur man mein hi keh raha tha 'dharam sachmuch bhale hum behtar khiladi hai par behtar bhai toh tum hi ho, main jo baat maa se kehne ke liye hichkicha raha tha who baat tumne pehele hi keh di aur maa ko mana bhi liya" Nivi ne kaha muze bohot saari taiyari ya karni hai aur wo waha se chali gayi aur tabhi dharam waha aaya veer ne dharam ke gale lagate hue kaha "maa ko ananya ke baare mein batane ke liye bohot shukriya mere maan se bohot bada boz hat gaaya hai."  Dharam ne kaha "kya hum apne bhai ke liye itna bhi nahi kar sakte" Veer ne hami bharte hue kaha "sach mein tum sab se aache bhai ho"

 

 

Veer ko ananya ki bohot yaad aara hi thi aur use milne ka bohot maan kar raha tha. Itne mein dharam ki awaz uske kaan pe padi ke Shagun lekar unhe ananya ke yaha jana hai. Toh usne turant dharam se kaha ke main bhi tumhare saath chalunga. Lekin dharam ne mana kar diya. Ke shagun lekar sirf who aur sia hi aur kuch daasiya jaa rahe hai. Aur tumhe lekar jaa rahe hai yeh baat agar bua ko pata chali toh woh use bohot daateingi. Veer ne dharam se bohot minaate ki.

 

Sumaiya mein sandesh mila ke maharaj dharam or rani sia shagun lekar aa rahe hai. Dusare din maharaj dharam aur rani sia kuch daasiyo ke saath waha pohoch gaye. Unhone maharaj rudra pratap aur rani sumitra ki bhet li. Us mein ek daasi kuch jyada hi ghunghat odhe hue thi. phir sab rani sia ke saath ananya ke kaksh mein chali gayi. Wahan saab unkahi intajaar kar rahi thi kyonki ki isake baad haldi ki rasam shuru karni thi. Ananya bohot sundar lag rahi thi uske chehre pe khushi zalak rahi thi. Raani sia ne ananya ko shagun diya. Aur thodi der mein haldi ki rasam shuru ho gayi. Sia ne bhi ananya ko haldi lagayi aur ek ek saab sakhiya dasiya ananya ko haldi laga rahe the. Wah ghunghatwali daasi kone mein khade rehkar beech beech me ghunghat thoda utha ke dekh rahi thi. Sia phir raani maa se milne chali gaayi. Uske saath unki daasiya bhi chali gayi. Sirf who ghunghatwali daasi wahan reh gaayi. Yeh dekh ke ananya ko kuch ajeeb laga. Wahan ananya ki kuch saakhiya hi reh gayi thi. tab ananya sab se kaha ke sab use thodi der akela chod de. Sab daasiya jaane lagi aakhir ghughantwali daasi bhi zizak ke jaane hi wali thi ke ananya ne use bula liya. Wah uske paas aayi. Toh ananya ne use pucha tum koun ho pehele toh kabhi nahi dekha. Us daasine jawab diya ke "woh aryangar se aayi hai".

 

 

 Toh ananya bohot khush ho gaayi aur use keha "veer kaisa hai use uski bohot yaad aar hi hai." Toh us daasi ne kaha "rajkumar veer bhi aapko bohot yaad kar rahe the". Ananya ne kaha "kaash main veer se mil pati". Toh us daasi ne kaha "Agar tum unhe saache maan se yaad karogi toh woh tume jarur milne aayenge." Yeh sunkar ananya ne kaha "saach!!!".  Toh daasi ne kaha "Ekbaar tum yaad karke toh dekho" Ananya ne turant apni aakhe band kar li aur veer ko nazron ke saamne laya aur sach mein thandi hawa ka zoka aaya aur saamne veer tha aur baade pyar se ananya ke galo pe haldi laga raha tha. Yahan wah daasi halke haatho se ananya ko mehndi laga rahi thi. ananya ko wah sparsh kuch jaana pehchana laga. Usne turant aakhe kholi toh saamne ghunghatwali daasi ka ghughat dhal gaya tha aur veer uske gaal pe halke hatho se haldi laga raha tha. Ananya khushi ka thikana nahi raha Aur wah achharya ke saath boli "veer tum yaha!!" toh veer ne pyar se kaha "ha main!! muze bhi tumhe dekhne ka bohot maan ho raha tha." Lekin Ananya thodi chintit hokar boli "Lekin koi dekhega toh kya kahega." Toh veer ne kaha "abhi toh tum keh rahi thi muze milne ka maan kar raha hai." Toh ananya sharma gaayi aur kaha "ha lekin is bhes mein tumhe kisine pehchan liye toh kahenge ke rajkumar veer toh ananya ki thodi bhi judai sehen nahi kar sakte hai." Veer ne kaha "sach toh hai aur wah ananya ko pyar se ek taak niharne laga. Ananya aise hi sundar lag rahi aur sharma ne ke wajah se uske gaalo pe laali chha gayi thi. kuch pal aise hi sunder sapne ki tarah bite. Itane mein ananya ne dekha ke maa aur sia aa rahi hai lekin . Aur usne veer se kaha "veer ghunghat odh lo maa aa rahi hai" lekin veer use niharne mein itna vyast tha ke uske kaano tak yeh baat pohochi hi naahi rahi thi. Ananya ne use hilate hue vahi dohraya toh Veer hosh mein aakar usne turant ghunghat odh liye. Sia baate raani sumitra se kar rahi thi lekin uksa dhyan ananya aur veer pet tha so wah baate karte karte dwar tak hi ruk gayi. Yeh mauka dekhkar ananya ne veer se puchha "Veer kya tumne maa mere baare mein sab kuch bata diya" toh veer ne kaha "Muze batane ki jaroorat hi nahi padi dharam ne hi pehelehi maa ko sab kuch bata diya tha aur wah jara bhi gussa nahi hai ulta unhone kaha ke unhe mere chunav par pura bharosa hai aur yaaha tak kaha kit tum rajkumari nahi hoti toh bhi unhe kuch fark nahi padta." Yeh sunkar ananya khush ho gayi aur veer se kaha "dharam ko meri ore se shukriya keh dena"  Itane mein siya ne  aage aakar muskurat hue dono se pucha 'kya haldi laga kar ho gaayi' toh daasi ke bhes mein veer ne sir hilaya aur raani maa ko aage aate dekh female voice main ananya ke ore dekhkar kaha "rajkumari bohot sundar lag rahi hai uski nazar utar dijiye." yeh sunkar ananya sharma gayi. Itane mein dusari sakhiya bhi wahan aa gaayi .Phir sia ne kaha "ab unhe chalna chahiya." Aur Sia uski daasi(Veer) aur raani maa bahar aa gaye waha dharam aur maharaj baate kar rahe the. Sia aur raani ma bhi wahan daasiyo ke saath aagayi. Dharam nikalne ke liye sia ka intejaar kar raha tha.  sia ne kaha ke ananya bohot khubsurat lag rahi hai. Toh dharam ne jawab main kaha "haa yeh toh saach hai mere bandar bhai ko pari mil gaayi hai!!!". Veer ne ghughat thoda utha ke dharam ko gusse se dekha lekin dharam haas raha tha kyon ke veer kuch nahi kar paa raha tha. Rani sumitra boli "nahi veer bhi sundar aur bahdur hai." Yeh sunkar veer ke chehre pe muskan chhalki. Aur sab aryanagar ke liye rawana ho gaye unhe baarat ki bhi taiyari karni thi.

 

Shaadi ke din Veer ne taiyar hokar Nivi maa aur maharaj Aryardhan ke ashirvad liye.

 

Veer dulhe ke vastro mein bohot khubsurat lag raha tha nivriti ne kaha "Mere bete ko aaj meri khud ki hi nazar na lag jaaye" Itane mein dharam wah aaya veer ko dekhkar wah bola "Sach hai bua" Phir usne apne hatho se veer ko sehra bandha aur kaha "Veer hum hamari shaadi ke waqt bohot dukhi the ke tumhari shaadi hamare saath nahi ho rahi lekin ab bohot khush hai warna hume tumahre saath hi baithe rehna padta aur hum khushiya manahi nahi paate.

 

 Shubh muhurat pe baarat aryanagar se nikali. Nivitri baar veer ko pyar bhari nazar se veer ko dekh rahe thi. Uske aankho se khushi chhalak rahi thi. Baarat sumaiya aakar puhuchi. Baarat achhi tarah se swagat hua. Pura sumaiya saja hua tha khushiya mana raha tha. Shaadi ka mandap tarah tarah ke phoolose sajaya hua tha. shadi ki rasme shuru ho gayi. Rajkumari ananya ko lagna mandap mein laya gaya. Wo bohot saji hui thi.

 

 

veer uske dekhte hi reh gaya. Phir jaymala ki rasm hui. Dono shaadi ke mandap mein baith gaaye siya ne gath(knot i.e. gathbandhan rasm) bandh te hue veer se kaha "Dekho veer kaskar gath bandh rahi hu abhi ki baar ananya bhagne na paaye) yeh sunkar veer muskuraya aur ananya ki taraf dekh lekin use ghughat odha hua tha. Aur Pandit ji ke mantra se uska dhyan tut gaya. Dono no phere liye aur pati-partni ke vachan liye. Phir veer ne ananya ke mang mein sundoor bhar diya aur mangalsutra pehnaya. Wah ananya ko jyada acchi tarah dekh nahi paya use bas kuch jhalkiyo mein hi dekh paya. Maharaj rudrapratap ki aankhe kanyadaan karte waqt bhar aayi. Shaadi ki sabhi rasme puri ho gayi. Veer aur Ananya ne sabhi bado ke ashirwad liye. Tab Maharaj rudrapratap ne kaha "hum is shubh avsaar par ek ghoshna karna chahte hai ke hamare baad hum Rajkumar Veer ko Sumaiya ka uttaradhikari ghoshit karte hai. Hamare baad wahi sumaiya rajya ki bagdor sambhalega. Sab ne veer ko badhaya di aur maharaj kef aisle se khushi jatayi. Bidai ka samay aaya toh khud maharaj rudrapratap se bhi apne aaso nahi ruke rani sumitra aur ananya ke gale lagkar ro rahi thi. Lekin Nivi ne aage badhkar unhe dheeraj diya aur unhe vishwas dilaya ke hum ananya ko apne beti jaise hi rakhenge aur wah aap dono se milne aati rahegi. Sab aryanagar pahuche.

 

Barat aryanagar puhuchi Nivi ne Veer ananya ki aarti utari aur ananya ka grahpravesh hua. Nivi ne dono ko bhagwan ko pranam karne ke liye kaha. Baad mein muh dikhayi ki rasm hue dharam aur sia ne kimti haar ananya ko muh dikhayi di. Toh ananya ne kaha "apke aashirwad hi mere liye bohot hai. App muze ek bade bhai ke tarah hai." Phir nivriti ne dono ke haatho se garibo ko vastra aur daan diye.

 

Ananya sab rasmo ke wajah se thak gaayi thi sia ne use kaksh mein bithaya aur veer ka itejaar karne lagi. Lekin yaha dharam aur veer ki baate khatam hi nahi ho rahi thi. dono sab purani baate yaad kar rahe the. Sia rah dekh kar veer ko dhoodane gayi aur dharam ke saath paaya aur Veer ko kaha ananya tumhara kab se itajaar rahi hai aur aap  bhi dharam purani baate yaad karte baithe hai. Veer jaane ke liye utha toh siya ne kaha aise hi thode jaane denge meri dwaaar chaikyai toh milni chahiye. Veer ne muskurate hue kaha aap ko mein kya du aap ke paas toh saab kuch hai muze sabse adhik priya dharam bhi !!! Toh siya ne kaha rasm hai toh kuch toh dena padege. Veer ne apne gale ka haar utarke siya ko de diya.

Kaksh ki taraf jaat hue veer man mein hi soch raha tha is shaadi ki rasmo ke wajah se ananya ko toh dekh hi nahi payla aur jyada samay toh wo ghughat mein hi thi. ab mein dhire se uska ghughat uthaunga aur wo sharmayegi. Lekin jab wo kamre mein pahucha toh use kuch awaze sunayi di. Aur ananya ka ghughat bhi thoda hil raha tha. Wo pal bhar ke liye ananya ke liye chintit hua aur age badha toh ghughat hilna band ho gaya tha usne dhire se ghughat usthaya toh ananya ka muh phula hua tha. Uske muh mein mithai thi. jald se jald mithai khakar usne veer se kaha muskurate "kya karu bohot bhuk lagi thi. aur yeh mithai yah hum dono ke liye hi hai isliye maine kha li" veer muskurate hue use nihar raha tha ananya ki bakbak toh shuru hi thi doodh dete hue "lekin dudh tumhare liye rakha hai aise toh maaji ne kaha tha ke aadha tumhe dena aur adha khud pi lena, baatne se pyar dugna hota hai.(kyoki use dudh itna pasand nahi tha aur veer ko bhi) Veer use dekh raha tha aaj wo itani sundar lag rahi thi jaise pehele kahi nahi lagi ho uski nazar ananya pe se haat hi nahi rahi thi  jaise kisine jadoo kiya ho. Ananya ke yeh baat thodi der se samaz mein aayi kyoki wah apne bakbak mein buzy thi. Use kuch samze iske pehle aage badhkar veer ne uske hoto ko chum liya. Ananya ke haath se dudh ka glass lekar adha peekar bacha hua uske haath mein dete hue ankhe michkate hue kaha isase pyar chauguna hota hai. Ananya toh dudh pite pite hakkabakka hokar soch rahi thi yeh wahi veer hai jo muzse pyar ka ekrar karne se bhi sharma raha tha. Aage   u think ur own way.  But no need to tell ke kisi raja rani ke kahani ki tarah wo dono khushi khushi rehne lage with their knok-jok n ladayi kyonki peacemaker dharam jo unke saath tha.

Marathi_Mulgi thumbnail
Posted: 15 years ago
Thank u so much for reading, liking, commenting my foolish ff. Muze bardasht karne ke liye shukriya. Thank u so much to sosweetsumi to know me shaadi rasms 😃 Edited by RTMCFAN - 15 years ago
-.Priya.- thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
thank u dear
its wondeful
but why did u end it😭
asrasrasr thumbnail
Posted: 15 years ago
very nice ending. Awesome update. Thanks for entertaining me.
act12 thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
very nice updt yaar, cant believe it is the end............sorry cudnt reply faster since I didnt have time but neways plzzzz write annotha FF soon, will eagerly wait
Ciao
Jiya