‘Kahani puri filmi hai’VS(lovestory-vivahtak)end - Page 5

Posted: 15 years ago
Thank u all for liking it. did u liked pic added n song lines of sun re megha. i like that song so much also like lyrics so added
Posted: 15 years ago
gr8 lovely i jus loved it anu is very naughty waitin for talwar bazi...
 
 
                    esha
Posted: 15 years ago
Originally posted by hiri


gr8 lovely i jus loved it anu is very naughty waitin for talwar bazi...
 
 
                    esha
Thanks esha u will soon enjoy talwar bazi of both😳
Posted: 15 years ago

Recap : Veer goes for talwarbaji with ananya.

Veer yudh ke abhyas ke liye banaye gaye jagah pohoch gaya ananya pehle se hi waha pehele se kisi sainik ke saath talwarbaji ki practice kar rahi thi. Usne ek rajkumar ki tarah vastra pehene hue the aur sir pe  pagdi thi aur muh bilkul dhak liya tha sirf uski aankhe nazar aa rahi thi. Veer ko aate dekh ananya use ne saathi sainik hath dikhakar talwarbazi rokne ke liye  aur waha se jaaane ka liye ishara kiya. Waise turant wah wahase chala gaya. Phir usne veer ki taraf dekhte hue kaha "Oh toh aakhir aagaye aap muze laga harne ke daar se nahi aayenge lekin socha thodi der aur intajaar kar leti hu. Akhir dekhu toh jisase hamare shaadi ki baat chal rahi hai wah hamare layak hai bhi ya nahi."

Yeh sab sunkar abtak chupchap khade veer ne kaha "Hum harne se nahi darte, kyonki hamne harna kabhi sikha hi nahi hai. Hamesha hamare pratispardhi shatru ki hi haar hoti hai aur tumhare saath bhi wahi hoga. Aur ek baat samazlo humara tumse shaadi ka koi iraada nahi hai. Hum sirf shera se pyar karte hai.

Ananya ne apni talwar ko dekhte hue kaha wah saab baad ki baat hai pehle mukabla toh karo pehle mere waar se toh bacho aur talwar uthate hue pehla waar karte hue mukable ki shuruat kar di.

Veer ne bhi savadhani se ananya ke pehle waar ka apne talwar se bohot achha jawab diya. Dono mein joro se talwarbaaji shuru ho gaayi. Talwar ki khankhanahat sunayi de rahi thi. Kabhi ananya ka palda bhari ho jata kabi veer ka. Ek baar toh Veer ke daaya haath ananya ke talwar ke waar se ghayal hote hote bach gaya. veer yeh bhi jaan chukka ke ananya achhi khiladi hai. Koi haar manane ke liye taiyaar nahi tha aur Aise hi ek paal veer ka palda bhari ho gaaya. Uski talwar ananya ke talwar ko mat de rahi thi. Veer ne apna puri takat lagakar apni talwar ananya ke talwar pe rakh thi aur wah pura ananya ki ore jhuk gaaya tha tha.

 Ananya ka jor veer ke aage kuch kam pad raha tha aur wah bhi uske bhar se piche ki ore jhuk gaayi thi. Ananya ka naqab bhi nikalne wala tha aur lag hi raha tha ke ananya ki haar nishchit hai. Dono mein duri bohot kum thi. veer aur ananya kaafi najdik aa gaaye the veer ki aakhe ananya ki aakho pe khil gayi. Jaane veer ko kya hone laga wah uski kaali kaali badi aakho me kho gaya. Ananya ka bhi kuch yahi haal tha wah bhi veer ki bhuri bhuri aakho ki ore khichti jaa rahi thi. maan ko kitna kaabu mein rakhne ke bajaye uske aakho mein kho rahi thi. Veer ko toh lagne laga ke yeh aankhe uski jaani pehchani hai taabhi ek sevak veer ke liye sandesh lekar aaaya. Dono hosh mein aagaye Ananya ne veer ka dhyan bat gaya hai yeh dekhkar mauke ka fayda uthate hue pure jor se apni talwar veer pe palat di aur talwar uske seene pe rakhkar bade shaan se kaha "hum jeet gaye hamne apko ko hara diya". Veer ne kaha "Yeh galat hai woh to sevak bich mein aa gaya isliye.. nahi toh harne wali toh aap thi" Toh ananya ne jawab diya "woh hum nahi jaante khiladi ka dyan bata yaane uski haar nishchit hai."  Sevak abhi tak sandesh batane ke liye intejaar kar raha tha. Veer ne uski taraf thode gusse hi dekha to wah sevak adaab se jukh kar bola rajkumar veer ko maharaj dharam ne bula hai. Veer ne sevak ko kaha thik hai aur sevak waha se chala gaya Veer ne man mein hi gusse kaha "Yeh dharam bhi na hamesh galat waqt par bulata hai." Veer ne ananya ki taraf dekha wah garve se use hi dekh rahi thi. Phir jaate jaate veer ne use kaha "thik hai isbaar jane deta hu lekin agli baar mein tumhe hara ke hi rahunga" Veer dharam ke kaksh ki aur nikal gaya. Veer abhi bhi dharam pe gussa tha ke is ghamandi rajkumari ka ghamand tutate tutate reh gaya.  Aur woh dharam ke kamre mein puhucha yeh soch ke use bohot datunga. Lekin dharam wahan nahi tha. Muze bulakar dharam kaha chala gaya. Achha bhala mein jeet raha tha rajkumari ananya toh baas harne hi wali thi. Lekin meri nazar uski aankho par tik gaayi. Ankho se yaad aaya aisee aankhe mein pehele hi kabhi dekhi hai bahut jaani pehchani lag rahi thi. kisi hai aisee aankhe yeh sochte hue veer corridor se aage badh raha tha ke use ek kaksh mein se kuch awaze sunayi di.

Veer wahi pe rukh gaya aur dhyan se sunane laga. Wah ananya ka kaksh tha aur wah keh rahi thi "achha hua ke tumne veer ko bula liya nahi toh mera naqab nikal ne hi wala tha." Aage dharam ki awaz sunayi di wah keh raha tha "lekin ab tumhe veer ko bata dena chahiye ke tum hi shera ho. Mere bhai ko aur mat satao." Yeh sunkar Veer chauk pada aur man mein sochne laga toh yeh baat hai aur dharam ko yeh sab malum hai. Aur dharam ke liye uski narajgi aur badh gayi phir bhi chupke se wah aage sunane laga

 Ananya keh rahi thi "Pehle wah apne shera ko toh pehchan le" Dharam aage keh raha tha "Agar wo thode dhyan se tumhe dekh lega toh tumhe pehchan lega lekin wo sumaiya hi bohot gusse mein aaya hai na ke koi rajkumari ananya se use shaadi karni padegi " aur ananya aur dharam hasne lage. Veer ne maan mein socha 'toh yeh baat hai dono mil kar muze budhhu bana rahe hai. Phir veer unke kamre mein gaya toh ananya ne apne ghunghat phir se thik kar liya taki uska chehra veer ko dikhayi na de. Veer ko dekhkar dharam ne kaha aao veer tumhari hi baat chal rahi thi. rajkumari ananya tumhari hi taarif kar rahi thi ke tum bohot achhi talwarbaji karte ho. Lekin unse haar gaye. Toh veer ne kaha haan wo toh tumne bula liya isliye nahi toh jit meri hi honewali thi. Dharam ne socha yeh dono ko akela chod diya jaye is liye usne kaha hum maharaj rudrapratap se mil kar aate hai. Aur wahan se nikal gaya. Veer ne socha ke dharam tumhe toh mein baad mein dekh lunga pehela ananya se toh nipat lu. Aur usne ananya ki ke taraf dekha wah ghunghat mein khadi thi aur ghunghat se uske dekhne ki koshish kar rahi thi. Veer ne baadi narmi se kaha "aap sach mein hamari taarif kar rahi thi humne aapko galat samza Hame maaf kar dijiye. Hamse se jyada toh aap achhi talwarbaji karti hai. Maine aapko thik se dekha nahi lekin main yakin ke saath keh sakta hu aap bohot sunder hai. Kal aapka gaana sunaney mein waha aaya nahi lekin kaksh mein bathe hi sun raha tha. Aap bohot accha gaati hai. Mera maan toh aapki ore khichne laga hai" Veer ki baate sunkar ananya chakit ho gayi uski baadi baadi kali aankhe ghughat se veer ka badlav dekhne ki koshish kar rahi thi. Veer uske chehre ki narazi ghughat ke bawjud bhi dekh raha tha aur uska chakit hona bhi mehsus karke khush ho raha tha.

 Veer ka maan tatolne ke liye ananyane use puchha "Lekin aap toh shera se pyar karte hai! Aur aap keh rahe the Shera bohot sundar hai." Veer ne ananya par apni baato ka assar hote dekh socha ke usne socha waise hi ho raha hai kyo n ise thoda aur uksaya jaye mera saath bhi toh usne aisa hi kya tha Veer ne ananya ki taraf dekhte hue kaha "Shera aur sundar!!!" aur hasne laga Ananya aur naraz ho gayi "Apke aage toh wah kuchh bhi nahi" Ananya zat se boli "Lekin aap usase pyar karte hai na?" Veer ne kaha "koi gale pade toh koi kya kar sakta hai main toh aapse pyar karne laga hu" Veer ki yeh baat sunkar toh ananya ko veer pe bohot gussa aaya aur usne veer ki taaraf palatkar dekha aur kaha "kya kaha tumne!!!" uska ghunghat gir chukka tha. Aur veer ke saamne uska chehra aa gaya tha. Aur wo rote hue bol padi ke iska matlaab tum shera se pyar nahi karte. Use gusse mein dekhkar veer ne muskurate hue kaha 'nahi mein ab shera se nahi ananya se pyar karta hu kyoki muze pata chala hai ke ananya hi meri shera hai.' Phir bhi ananya gusse main thi aur usne Veer se chidhkar kaha ke 'tumne hamari burai kyo ki" toh veer bola "tumne bhi toh muzse khud ko chhupakar rakha" aur dono ladne lage. Itane mein dharam waha puhucha dono ko ladte dekh man mein bola Lagta hai Veer ko saab pata chal gaya hai!! shaadi nahi hue hai toh yeh haal hai na jaane shaadi ke baad kya hoga. Lagta hai hame shantidoot bankar hamesh dono ki sulah karani hogi. Aur wah age badhkar dono ko bola yeh kya chal raha hai tum dono ka tum dono phir se ladne lage. Ananya uske purane style mein boli "dekho na dharam yeh veer" toh veer ne use rokte hue kaha "yeh kya bolega isne bhi toh muze buddhu banaya hai." Toh dharam ne haste hue kaha who hum  thoda mazak kar rahe the". Veer ne kaha "tum bhai mere ho aur saath uska de rahe ho" Dharam ne kaha "Ananya ab mere bhai ki patni banane ja rahi hai. Aur hum toh pehle se hi uske saath mein hai. Lekin tum dono lad rahe ho to mein maharaj rudrapratapji  se jakar keh deta hu ke tum dono ek dusare ko pasand nahi karte ho aur hame yeh vivah ka prastav manjur nahi hai." Aur woh jaane ke liye nikala toh Veer aur ananya ek saath bol pade "Dharam!!! Wah hum?.."  toh dharam ne mudkar veer ke taraf jaate hue muskurate hue aur aankhe michkate hue kaha "achha toh hum maharaj se yeh keh de ki hume yeh rishta manjoor hai aur jald se jald shaadi ka muhurat nikale." Toh veer aur ananya sharma gaaye. Dharam ne kaha "Tum dono ek dusare ke liye kitane tadpe ho yeh hame achhi tarah se malum hai. Lekin ab Milan mein jyada samay nahi lagaunga. Aur dharam wahan se chal diya aur jaate jaate veer se kaha ke ananya se jaldi mil lo kyu ki ab hume aryanagar lautna hai. Bua ko khushkhabari bhi deni hai aur shaadi ki taiyari jo karni hai.

Kaksh mein sirf veer aur ananya hi reh gaye.  Ananya khushi se veer ke gale lag gayi aur veer ne use apne baho mein leliya.
Veer ne use pucha "tumhari toh shaadi tasha se honewali thi na? Aur jab muze tum baad me mili toh bhi jakhmi thi main kuch puch nahi paya. Uske baad tum muzse door chali gaayi maine tumhe bohot dhundhne ki koshish ki. Kyo muze akela chhodkar chali gaayi thi tum?" Ananya ne kaha "Hame maaf kar do Veer lekin us waqt hum bohot musibat mein the aur tumhe hamari wajahse musibat mein dalna nahi chahte the." Aur ananya ne use aryanagar ka mehel chodne ke baad se lekar sumaiya ki rajkumari hone taak ki puri kahani bata di. Veer ne kaha "lekin tum koi rajkumari nahi hoti toh bhi main tumhe apna leta main tumse bohot pyar karta hu?" Toh ananya ne kaha "tumhara thik hai lekin aur ka kya" Veer ne kaha muze auro ki koi parvah nahi mere liye itanihi kaafi hai ke main tumze pyar karta hu" Ananya ne kaha
"Nahi veer hame aur ki bhi parwah karni padti hai!! tumhari maa kya meri asaliyat jaankar raaji hoti? Kyat tum apni maa ko naraj karte? Tum use mera bita kal bata dena. Toh mere maan se bada boz haat jayega. Nahi to mere maan pe hamesha yeh boz rahega ke maine mera bita hua kal unse chhipaye rakha." Veer ne kaha "tum iski chinta mat karo mein maa ko sab bata dunga aur muze pura yakin hai ke unko koi shikayat nahi hogi tumse." Itane mein use dharam ki awaz sunayi di dharam use bula raha tha. Veer aur ananya dharam ke pass pahunch gaye. Sia dono ko dekhkar muskura rahi thi usne veer se kaha "Veer tumhe rajkumari ananya pasand hai na!!!" Veer sharma gaya dharam ne muskurate hue use gale lagaya.

 Ananya toh daud ke siya ke gale lag gayi. Sia ne use kaha "Ananya ab jald se jald aryanagar aa jao bua ji ki aankhe bahu dekh n ke liye taras gayi hai" itane mein rani sumitra aur maharaj rudra pratap waha pahuch gaye. Dharam ne unse kaha "Ab hame nikalne ki aagya de" maharaj rudrapratap ne kaha "itani jaldi" rani sumitra bol padi "ha kuch din aur rukh jaate" Dharam ne kaha "Nahi hum jyada nahi rukh sakte aryanagar hum pitaji ke bharose chhod aaye hai. Pitaji akele hai veer bhi hamre saath aaya hai. Hum aur nahi ruk sakte." Aur Veer ke taraf dekhte hau muskurate hue kaha "shaadi ki taiyariya bhi toh karni hai" Yeh sunkar maharaj rudrapratap haans pade aur veer se kaha "Aakhir apne apni shera ko pehcan hi liya" Veer muskuraya aur usne unke pair chhoo liye Maharaj ne use uthakar gale lagaya. Aur dharam veer aur sia aryanagar laut gaye.

Precap : Aryanagar n sumaiya mein shaadi ki taiyariya shuru
Edited by RTMCFAN - 15 years ago
Posted: 15 years ago
Nice one dear,
 
akir veer ne shera ko pehchan hi liya
yew dono nahin sudrenge abhu bhi lad rahe the
 
bechera dharam hamseha mediator hi bana rahega.
 
good part dera
 
do continue.
Posted: 15 years ago
amazing update cant wait 4 next part👍🏼
Posted: 15 years ago
Awesome update. So Dharam knew and kept the suffering Veer in the dark. Didn't expect that from dharam😆. Glad Veer knows ananya is shera. Now we can look forward to some nice romantic scenes and garam garam fights between them😉.
Posted: 15 years ago
tha was mind blowing ye dharam bhi na btw gr8
Posted: 15 years ago
lovly update why ur ending soo fast dont ended  plzzzzzzzzzzzz
Posted: 15 years ago
Originally posted by sosweetsumi


Nice one dear,
 
akir veer ne shera ko pehchan hi liya He has feeling that inside from first.
yew dono nahin sudrenge abhu bhi lad rahe the-That's right dono kabhi sudharege nahi aur sudharna bhi nahi chahiye😆😆😆
 
bechera dharam hamseha mediator hi bana rahega.-Yes he nahi toh VA ke beech sulah kaun karvayega😆😆😆
 
good part dera-Thank u so much.😊
 
do continue.-Will update soon😃

Related Topics

No Related topics found

Topic Info

13 Participants 79 Replies 21750Views

Topic started by Marathi_Mulgi

Last replied by Marathi_Mulgi

loader
loader
up-open TOP